Presenting you Tere Aage Har Koyi Jhuka Lyrics was sung by Vishal Mishra, Swagat Rathod and written by Mehboob. The music of this song was composed by A.R. Rahman.
Song | Chola Chola |
Singer | Vishal Mishra, Swagat Rathod |
Music | A.R. Rahman |
Lyrics | Mehboob |
Tere Aage Har Koyi Jhuka Lyrics
Thir thir thir thirke
Gagan chhuye sar sar sar sar se
Parcham ude far far far far se
Aaye hai veer har ghar ghar ghar se
Shaheedon ka jashn hai jashn hai
Naman hai naman hai
Kbhi uthe kabhi gire jung mein hoke gum,
Rang mein jeet ke range hum tum
Tere aage har koyi jhuka
Koyi jhuka chola chola
Tere kadmon mein rakhun zara
Rakhun zara duniya duniya
Himmat gairat
Dono aankhein hain sheron ki
Aaja yodha
Rahe na nishani dushmano ki
Thir thir thir thirke
Gagan chuve sar sar sar sar se
Parcham udde far far far far se
Aaye hai veer har ghar ghar ghar se
Shaheedon ka jashn hai jashn hai
Naman hai naman hai
Kabhi uthe kabhi gire jung mein hoke gum
Rakht mein jeet ke range hum tum
Zara zara sa khumar hai
Sawaar hai jeet ke par pe
Kayi kayi khwahishein bhi hain
Junoon hai apne sar pe
Ho maati ko seechun lahu se
Yeh swarg bachaun sabu se
Par nashe mein jhoom ke deewana
Are tujhe pukare haseena re
Maati ko seechun lahu se
Yeh swarg bachaun sabu se
Par nashe mein jhoom ke deewana
Are tujhe pukare haseena re
Sundari
Teri nigahon ke vaar chale hain
Yahan wahan ghav lage
Bhare hain saare ghav tann pe jung ke
Mite nahi hai jo tune diye mann pe
Iska bhi hai nasha
Prem ras piye jaa piye jaa
Magar dagmagana mat re
Kabhi chhuthe na talwarein yeh
Nahi sher mat rukna re
Khumar hai sawaar hai jeet ke par pe
Kayi kayi khwahishein bhi hain
Junoon hai apne sar pe
Is dharti ka dekha tha sapna
Dushman ko kiya para para para
Humne maut ko bhi nachaya hai ho
Jiska sar jhuka maaf kiya
Jo khanjar tana saaf use kiya kiya
Mudd kar jo chala jaane diya re ho
Cholo ka yeh tareeka hai
Iss par hi ab chalna hai
Dharti se leke to gagan tak
Iska hi bolbala hai
Thir thir thir thirke
Gagan chuve sar sar sar sar se
Parcham udde far far far far se
Aaye hai veer har ghar ghar ghar se
Shaheedon ka jashn hai jashn hai hai
Naman hai naman hai hai
Kabhi uthe kabhi gire jung mein hoke gum
Rakht mein jeet ke range hum tum
This is the end of Thir Thir Thir Thirke Lyrics